poems nostalgia Iftar Ramzan Life In The Times Of Corona corona journal indiafightscorona eid al-fitr

If You're Spending Eid Away From Home, This Poem Will Make You Cry

( words)
*For representational purpose only.

Khaayi sehri me jab Idli, toh ghar yaad aaya
Mila iftaar me Dosa, toh bohott yaad aaya
Delhi, Bareilly, Saithal sab yaad aaya
Ab kya maine tumhe batau, ke kya kya yaad aaya

Maa ke haatho ke paranthey,
Aur mere Ghar ke pakode
Besan ke pakode, aaloo pyaaz aur gobhi ke pakode
Aur wo bina coconut oil ki khushbu ke pakode
Wo chaat, wo phulke, feni, wo gajra yaad aaya

Khaayi sehri me jab Idli, toh ghar yaad aaya
Mila iftaar me Dosa, toh bohott yaad aaya

Mila kele ka pakoda toh bhi ghar yaad aaya
Vada, Sambhar Vada, Padampudi, appam, pe samosa yaad aaya
Wo kheer, sewayi, falooda, shahi tukda yaad aaya
Aur payasam pe gajar ka halwa yaad aaya

Khayi Sehri me jab idli toh ghar yaad aaya
Mila iftaar me dosa to bohott yaad aaya

Wo Fajr me Masjido ki Raunaq,
Wo raat-raat bhar bazaaro ki jagmag
Wo sab logo ka badla hua routine
Wo iftaar se sehri tak ke get-togethers
Wo raat bhar sadko pe aawaragardiyaa karna
Wo aadhi raat ko Mandi jaana,
Aur subah 5 baje Puranidilli ki Sehri pe goodnight bolke get-togethers conclude karna YAAD AAYA
Ab kya maine tumhe batau, ke kya kya yaad aaya
Khaayi sehri me jab Idli, toh ghar yaad aaya
Mila iftaar me Dosa, toh bohott yaad aaya.

Share This Story